na dosti ki tarah hai na dushmani ki tarah
na dosti ki tarah hai na dushmani ki tarah
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
na dostī kī tarah hai na dushmanī kī tarah
ye iltifāt tumhārā hai ajnabī kī tarah
vahī to lamhe matā-e-hayāt hote haiñ
ġhamoñ ke saa.e meñ palte haiñ jo ḳhushī kī tarah
jalā sake to jalā soz-e-ishq yuuñ mujh ko
ki kā.enāt pe chhā jā.ūñ raushnī kī tarah
ye kis maqām pe pahuñchā hai kārvān-e-hayāt
jahāñ ḳhudī kā bhī aalam hai be-ḳhudī kī tarah
nazar meñ un kā tasavvur hai jaam hāthoñ meñ
hamārī bāda-parastī hai bandagī kī tarah
vo hañs paḌe mirī vahshat pe yuuñ sar-e-mahfil
har ek zaḳhm-e-jigar khil gayā kalī kī tarah
zarūr 'dard' koī māh-vash hai gulshan meñ
sabā ne phuul khilā.e haiñ chāñdnī kī tarah
na dosti ki tarah hai na dushmani ki tarah
ye iltifat tumhaara hai ajnabi ki tarah
wahi to lamhe mata-e-hayat hote hain
ghamon ke sae mein palte hain jo KHushi ki tarah
jala sake to jala soz-e-ishq yun mujh ko
ki kaenat pe chha jaun raushni ki tarah
ye kis maqam pe pahuncha hai karwan-e-hayat
jahan KHudi ka bhi aalam hai be-KHudi ki tarah
nazar mein un ka tasawwur hai jam hathon mein
hamari baada-parasti hai bandagi ki tarah
wo hans paDe meri wahshat pe yun sar-e-mahfil
har ek zaKHm-e-jigar khil gaya kali ki tarah
zarur 'dard' koi mah-wash hai gulshan mein
saba ne phul khilae hain chandni ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.