na fasle rahe qaem na qurbaten ab ke
na fāsle rahe qaa.em na qurbateñ ab ke
ajiib haal se guzrī haiñ ulfateñ ab ke
hamāre saath jo chaltā thā vo nahīñ aayā
guzar chalī haiñ bahāroñ kī muddateñ ab ke
har ik qadam pe sarāb-e-vafā meñ Duube the
har ik qadam pe milī haiñ haqīqateñ ab ke
vo yak-ba-yak jo milegā to kaise dekheñge
huī haiñ jis se mile ham ko muddateñ ab ke
bajā.e naqd-e-vafā ke kuchh aur baat karo
badal ga.ī haiñ jahāñ kī zarūrateñ ab ke
nahīñ hai sirf vo tanhā maiñ jaisā samjhā thā
har ek shahr meñ dekhīñ shabāhateñ ab ke
maiñ us se duur gayā thā to aa gayā 'ādil'
ḳhud apne-āp ye haiñ mujh ko hairateñ ab ke
na fasle rahe qaem na qurbaten ab ke
ajib haal se guzri hain ulfaten ab ke
hamare sath jo chalta tha wo nahin aaya
guzar chali hain bahaaron ki muddaten ab ke
har ek qadam pe sarab-e-wafa mein Dube the
har ek qadam pe mili hain haqiqaten ab ke
wo yak-ba-yak jo milega to kaise dekhenge
hui hain jis se mile hum ko muddaten ab ke
bajae naqd-e-wafa ke kuchh aur baat karo
badal gai hain jahan ki zaruraten ab ke
nahin hai sirf wo tanha main jaisa samjha tha
har ek shahr mein dekhin shabahaten ab ke
main us se dur gaya tha to aa gaya 'adil'
KHud apne-ap ye hain mujh ko hairaten ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.