na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa
na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa
Arsh Malsiyani
MORE BYArsh Malsiyani
na furāt-o-dajla pe naaz kar na fareb-e-gañg-o-jaman meñ aa
ye jahān sab hai tirā vatan tū kidhar hai apne vatan meñ aa
tū hai rañg-e-nargis-o-nastaran hai tujhī se raunaq-e-anjuman
tire muntazir haiñ gul-o-saman to bahār ban ke chaman meñ aa
tujhe laakh log hasīñ kaheñ tujh laakh durr-e-samīñ kaheñ
tirī qadr hogī faqat yahīñ to harīm-e-dil ke adn meñ aa
jo ḳhayāl-e-ḳhuld meñ ho magan mai-o-añgbīñ meñ ho jis kā man
jo vatan meñ rah ke ho be-vatan use kyā kahūñ ki vatan meñ aa
ye bahār-e-bāġh ye mahfileñ tirī ḳhalvatoñ pe nisār hoñ
tujhe kaam ġhuncha-o-gul se kyā tū chaman ko chhoḌ ke ban meñ aa
rah-o-rasm-e-ishq pe rakh nazar ho jahān-e-nau kā payāmbar
na to ahd-e-rafta ko yaad kar na fareb-e-charḳh-e-kuhan meñ aa
ye khulā na ham pe ki tū kahāñ mai-e-sher pī ke nikal gayā
tujhe yaad karte haiñ 'arsh' sab kabhī phir bhī bazm-e-suḳhan meñ aa
na furaat-o-dajla pe naz kar na fareb-e-gang-o-jaman mein aa
ye jahan sab hai tera watan tu kidhar hai apne watan mein aa
tu hai rang-e-nargis-o-nastaran hai tujhi se raunaq-e-anjuman
tere muntazir hain gul-o-saman to bahaar ban ke chaman mein aa
tujhe lakh log hasin kahen tujh lakh durr-e-samin kahen
teri qadr hogi faqat yahin to harim-e-dil ke adn mein aa
jo KHayal-e-KHuld mein ho magan mai-o-angbin mein ho jis ka man
jo watan mein rah ke ho be-watan use kya kahun ki watan mein aa
ye bahaar-e-bagh ye mahfilen teri KHalwaton pe nisar hon
tujhe kaam ghuncha-o-gul se kya tu chaman ko chhoD ke ban mein aa
rah-o-rasm-e-ishq pe rakh nazar ho jahan-e-nau ka payambar
na to ahd-e-rafta ko yaad kar na fareb-e-charKH-e-kuhan mein aa
ye khula na hum pe ki tu kahan mai-e-sher pi ke nikal gaya
tujhe yaad karte hain 'arsh' sab kabhi phir bhi bazm-e-suKHan mein aa
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 39)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.