na hai umangon ka rang koi na aks jazbon ki tazgi ka
na hai umañgoñ kā rang koī na aks jazboñ kī tāzgī kā
thakā thakā sā bujhā bujhā sā ye kaisā chehrā hai zindagī kā
sab ārzūoñ ke taar TuuTe bichhaḌ ga.e sāz-e-dil se naġhme
bharā hai chīḳhoñ se merā siina taqāza kiije na rāgnī kā
dasoñ dishāoñ se ghūrtī haiñ ġhamoñ ke mausam kī zard āñkheñ
ye kaise mumkin hai ho sake ab vajūd sarsabz aadmī kā
anā tadabbur vaqār mujh meñ talavvun aur intishār mujh meñ
mujhe na hairat se dekh duniyā mizāj huuñ bīsvīñ sadī kā
tamām lashkar aziyyatoñ ke 'shujā' ab muntazir khaḌe haiñ
jise ho bardāsht karb-o-ġham kī kare vo iz.hār āgahī kā
na hai umangon ka rang koi na aks jazbon ki tazgi ka
thaka thaka sa bujha bujha sa ye kaisa chehra hai zindagi ka
sab aarzuon ke tar TuTe bichhaD gae saz-e-dil se naghme
bhara hai chiKHon se mera sina taqaza kije na ragni ka
dason dishaon se ghurti hain ghamon ke mausam ki zard aankhen
ye kaise mumkin hai ho sake ab wajud sarsabz aadmi ka
ana tadabbur waqar mujh mein talawwun aur intishaar mujh mein
mujhe na hairat se dekh duniya mizaj hun biswin sadi ka
tamam lashkar aziyyaton ke 'shuja' ab muntazir khaDe hain
jise ho bardasht karb-o-gham ki kare wo izhaar aagahi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.