na hum gada na kisi ko pukara karte hain
na ham gadā na kisī ko pukārā karte haiñ
faqīr haiñ guzarāñ par guzāra karte haiñ
jo pahle karte rahe gosha-hā-e-ḳhalvat meñ
vo zikr-e-yād tirā āshkāra karte haiñ
jatan kareñ bhī to āñkhoñ se mahv hote haiñ
jo naqsh ye dar-o-dīvār ubhārā karte haiñ
kiyā hai phir nazar-andāz us ne ahl-e-dil
chalo ki kār-e-junūñ bhī dobāra karte haiñ
ab is ke baa'd vahī dasht-e-hū vahī ram hai
vahī talāsh-e-ḳhutan hai nazāra karte haiñ
na hum gada na kisi ko pukara karte hain
faqir hain guzaran par guzara karte hain
jo pahle karte rahe gosha-ha-e-KHalwat mein
wo zikr-e-yaad tera aashkara karte hain
jatan karen bhi to aankhon se mahw hote hain
jo naqsh ye dar-o-diwar ubhaara karte hain
kiya hai phir nazar-andaz us ne ahl-e-dil
chalo ki kar-e-junun bhi dobara karte hain
ab is ke ba'd wahi dasht-e-hu wahi ram hai
wahi talash-e-KHutan hai nazara karte hain
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 30)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.