Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

Mazhar Imam

na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

Mazhar Imam

MORE BYMazhar Imam

    na ham-navā mire zauq-e-ḳhirām niklā

    ye rāsta bhī usī narm-gām niklā

    na.e guloñ sadā-e-shaguft tez huī

    havā ke lams se rishta kalām niklā

    musavvirī na sahī kaam aa.ī be-hunarī

    koī bahāna to un se salām niklā

    talāsh-e-rizq meñ nikle the mahr-e-sub.h liye

    aqab se pahlā sitāra bhī shaam niklā

    yahāñ bhī dhuup chalī aa.ī be-ḳhayālī

    ye sā.ebān-e-tasavvur na kaam niklā

    musāhiboñ tarah har qadam pe ḳhaar mile

    mirā safar to baḌe ehtimām niklā

    vahī shajar vahī patte vahī havā vahī aag

    kalām-e-nau bhī mirā rañg-e-ām niklā

    na ham-nawa mere zauq-e-KHiram ka nikla

    ye rasta bhi usi narm-gam ka nikla

    nae gulon ki sada-e-shaguft tez hui

    hawa ke lams se rishta kalam ka nikla

    musawwiri na sahi kaam aai be-hunari

    koi bahana to un se salam ka nikla

    talash-e-rizq mein nikle the mahr-e-subh liye

    aqab se pahla sitara bhi sham ka nikla

    yahan bhi dhup chali aai be-KHayali ki

    ye saeban-e-tasawwur na kaam ka nikla

    musahibon ki tarah har qadam pe KHar mile

    mera safar to baDe ehtimam ka nikla

    wahi shajar wahi patte wahi hawa wahi aag

    kalam-e-nau bhi mera rang-e-am ka nikla

    Source :
    • Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 31)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now