na ham-piyala sharab mein hum na ham-niwala kabab mein hum
na ham-piyala sharab mein hum na ham-niwala kabab mein hum
Mohsin Khan Mohsin
MORE BYMohsin Khan Mohsin
na ham-piyāla sharāb meñ ham na ham-nivāla kabāb meñ ham
haiñ pyārī guyyāñ itaab meñ ham azaab meñ ham azaab meñ ham
sharāb meñ vo hijāb meñ ham shabāb meñ vo shabāb meñ ham
the donoñ hairāñ hisāb meñ ham savāl meñ vo javāb meñ ham
maze uḌāte haiñ baalā baalā hai kuTnā laala kitāb vaalā
batāte ham ko na Tālā-bālā jo hote kuchh bhī hisāb meñ ham
nazīr hotī agar na pyārī to ham bhī hote na us pe vaarī
na aatī gar vo nigoḌ-mārī to dekhā karte the ḳhvāb meñ ham
jo husn-e-gauhar nikhār par hai to bandī be-Dhab ubhār par hai
agar vo motī bahār par hai haiñ rashk-e-dur āb-o-tāb meñ ham
balā se ab kuchh ho yā ki jab kuchh sunā kareñge huzūr sab kuchh
na is se aage kaheñge ab kuchh tumhārī lauñDī ke baab meñ ham
na bhuul jaanā lajā ke 'anqā' ham ā.eñge das bajā ke 'anqā'
na chhoḌnā ghar bulā ke 'anqā' jo aa bhī jaa.eñ shitāb meñ ham
na ham-piyala sharab mein hum na ham-niwala kabab mein hum
hain pyari guyyan itab mein hum azab mein hum azab mein hum
sharab mein wo hijab mein hum shabab mein wo shabab mein hum
the donon hairan hisab mein hum sawal mein wo jawab mein hum
maze uDate hain baala baala hai kuTna lala kitab wala
batate hum ko na Tala-baala jo hote kuchh bhi hisab mein hum
nazir hoti agar na pyari to hum bhi hote na us pe wari
na aati gar wo nigoD-mari to dekha karte the KHwab mein hum
jo husn-e-gauhar nikhaar par hai to bandi be-Dhab ubhaar par hai
agar wo moti bahaar par hai hain rashk-e-dur aab-o-tab mein hum
bala se ab kuchh ho ya ki jab kuchh suna karenge huzur sab kuchh
na is se aage kahenge ab kuchh tumhaari launDi ke bab mein hum
na bhul jaana laja ke 'anqa' hum aaenge das baja ke 'anqa'
na chhoDna ghar bula ke 'anqa' jo aa bhi jaen shitab mein hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.