na ham-suKHan na koi ham-guman kidhar jaen
na ham-suḳhan na koī ham-gumāñ kidhar jaa.eñ
bahut udaas haiñ jān-e-jahāñ kidhar jaa.eñ
tire sivā to koī rahnumā nahīñ apnā
tū hī batā ai ġham-e-jāvedāñ kidhar jaa.eñ
tumhāre naqsh se milte haiñ rāste saare
miTā ke dil se tumhāre nishāñ kidhar jaa.eñ
ye terā dar to hameñ āḳhirī Thikāna thā
yahāñ se uTh ke tire be-makāñ kidhar jaa.eñ
zamāna saarā ḳharīdār-e-husn hai 'abbās'
ham apnā le ke dil-e-rā.egāñ kidhar jaa.eñ
na ham-suKHan na koi ham-guman kidhar jaen
bahut udas hain jaan-e-jahan kidhar jaen
tere siwa to koi rahnuma nahin apna
tu hi bata ai gham-e-jawedan kidhar jaen
tumhaare naqsh se milte hain raste sare
miTa ke dil se tumhaare nishan kidhar jaen
ye tera dar to hamein aaKHiri Thikana tha
yahan se uTh ke tere be-makan kidhar jaen
zamana sara KHaridar-e-husn hai 'abbas'
hum apna le ke dil-e-raegan kidhar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.