na hi ranj hai na malal hai
na hī ranj hai na malāl hai
tere hijr kā ye kamāl hai
maiñ bayāñ karūñ ise kis qadar
tere bin jo guzrā ye saal hai
vo jo aaj chal rahe kajravī
ye to dushmanoñ kī sī chaal hai
maiñ bhaTak rahā yūñhī dar-ba-dar
tere ishq hī meñ ye haal hai
koī zaḳhm de na sivā tire
tirā aisā hī to ḳhayāl hai
na hi ranj hai na malal hai
tere hijr ka ye kamal hai
main bayan karun ise kis qadar
tere bin jo guzra ye sal hai
wo jo aaj chal rahe kajrawi
ye to dushmanon ki si chaal hai
main bhaTak raha yunhi dar-ba-dar
tere ishq hi mein ye haal hai
koi zaKHm de na siwa tere
tera aisa hi to KHayal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.