na ho gar nahin un se milne ka yara
na ho gar nahīñ un se milne kā yaarā
ḳhudī hai salāmat ḳhudā hai hamārā
bhaḌaktā hai bujh bujh ke aksar dobārā
anokhā hai kyā zindagī kā sharāra
ik ummīd-e-mauhūm par jī rahā huuñ
ki tinke kā hai Dūbte ko sahārā
nigāh-e-karam ho jo rindoñ pe saaqī
to zahr-e-halāhal bhī qand-e-gavārā
charāġh-e-haram hai na hargiz bujhegā
ye dil sho.ala-e-ishq kā hai sharāra
maiñ yuuñ arsh se farsh par aa girā huuñ
ki ākāsh se jaise TuuTā ho taarā
mile kāmrānī ke phuul us ko aksar
kiyā jis ne kāñToñ meñ rah kar guzārā
'zafar' mauj-e-tūfāñ se ham khelte haiñ
mubārak unheñ jin ko sāhil hai pyārā
na ho gar nahin un se milne ka yara
KHudi hai salamat KHuda hai hamara
bhaDakta hai bujh bujh ke aksar dobara
anokha hai kya zindagi ka sharara
ek ummid-e-mauhum par ji raha hun
ki tinke ka hai Dubte ko sahaara
nigah-e-karam ho jo rindon pe saqi
to zahr-e-halahal bhi qand-e-gawara
charagh-e-haram hai na hargiz bujhega
ye dil shoala-e-ishq ka hai sharara
main yun arsh se farsh par aa gira hun
ki aakash se jaise TuTa ho tara
mile kaamrani ke phul us ko aksar
kiya jis ne kanTon mein rah kar guzara
'zafar' mauj-e-tufan se hum khelte hain
mubarak unhen jin ko sahil hai pyara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.