na ho jab KHun to dil kyon jigar kyon
na ho jab ḳhuun to dil kyoñ jigar kyoñ
ilāhī ḳhushk nadiyoñ meñ bhañvar kyoñ
jo parde meñ bhī tujh ko dekhtā thā
huā mādūm vo husn-e-nazar kyoñ
vo harf-e-shauq jo kal mo'atabar thā
vahī ab ho gayā nā-mo'tabar kyoñ
nahīñ manzil kā jab koī bharosā
abhī tak mo'atabar hai rahguzar kyoñ
mizāj-e-'shān' to shabnam-sifat hai
kiye jaatā hai sho.aloñ par safar kyoñ
na ho jab KHun to dil kyon jigar kyon
ilahi KHushk nadiyon mein bhanwar kyon
jo parde mein bhi tujh ko dekhta tha
hua madum wo husn-e-nazar kyon
wo harf-e-shauq jo kal mo'atabar tha
wahi ab ho gaya na-mo'tabar kyon
nahin manzil ka jab koi bharosa
abhi tak mo'atabar hai rahguzar kyon
mizaj-e-'shan' to shabnam-sifat hai
kiye jata hai shoalon par safar kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.