na ho jo unki tabiat wafa-shiar nahin
na ho jo un kī tabī.at vafā-shi.ār nahīñ
hameñ to talḳhī-e-daurāñ bhī nāgavār nahīñ
ye zarf zarf kī bāteñ haiñ is kā kyā shikva
hai shukr aap kī nazroñ meñ sharmsār nahīñ
hamīñ ne ḳhuun se sīñchā hai ġhuncha-o-gul ko
bahār kahte haiñ jis ko vo ye bahār nahīñ
nazar nazar hai fasāna nafas nafas shikva
hujūm-e-yās meñ sharminda-e-bahār nahīñ
ḳhizāñ-rasīda bahāroñ kā zikr kyā ho 'kalīm'
hameñ to kuchh bhī mohabbat meñ sāzgār nahīñ
na ho jo un ki tabiat wafa-shiar nahin
hamein to talKHi-e-dauran bhi nagawar nahin
ye zarf zarf ki baaten hain is ka kya shikwa
hai shukr aap ki nazron mein sharmsar nahin
hamin ne KHun se sincha hai ghuncha-o-gul ko
bahaar kahte hain jis ko wo ye bahaar nahin
nazar nazar hai fasana nafas nafas shikwa
hujum-e-yas mein sharminda-e-bahaar nahin
KHizan-rasida bahaaron ka zikr kya ho 'kalim'
hamein to kuchh bhi mohabbat mein sazgar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.