na ho pahlu mein jab dil zindagi kya
na ho pahlu mein jab dil zindagi kya
Abu Mohammad Syed Husain Saifi
MORE BYAbu Mohammad Syed Husain Saifi
na ho pahlū meñ jab dil zindagī kyā
are ham kyā hamārī dil-lagī kyā
ḳhayāl-e-ābrū hai nashshe meñ bhī
are ham kyā hamārī be-ḳhudī kyā
madad kuchh kar nahīñ sakte kisī kī
are ham kyā hamārī dostī kyā
kiyā karte haiñ sajde be-dilī se
are ham kyā hamārī bandagī kyā
taraddud meñ guzartā hai har ik din
are ham kyā hamārī zindagī kyā
samajhte haiñ adū bhī dost ham ko
are ham kyā hamārī dushmanī kyā
nasīhat bhī hai dil-āzār 'saifī'
are ham kyā hamārī shā.erī kyā
na ho pahlu mein jab dil zindagi kya
are hum kya hamari dil-lagi kya
KHayal-e-abru hai nashshe mein bhi
are hum kya hamari be-KHudi kya
madad kuchh kar nahin sakte kisi ki
are hum kya hamari dosti kya
kiya karte hain sajde be-dili se
are hum kya hamari bandagi kya
taraddud mein guzarta hai har ek din
are hum kya hamari zindagi kya
samajhte hain adu bhi dost hum ko
are hum kya hamari dushmani kya
nasihat bhi hai dil-azar 'saifi'
are hum kya hamari shaeri kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.