na ho zikr hijr-o-visāl kā dil-e-mubtalā use bhuul jā
jo kabhī giraft-e-vafā meñ thā vo kahāñ rahā use bhuul jā
koī karb-o-shauq-e-visāl meñ rahā umr-bhar ajab haal meñ
kisī aur kā vo nasīb thā so nahīñ milā use bhuul jā
na.ī ulfatoñ ke ḳhumār meñ kisī bevafā ke vo pyaar meñ
tujhe ratjage jo atā kiyā vo chalā gayā use bhuul jā
jo mohabbatoñ kā jamāl thā vo munāfiqat meñ kamāl thā
vo burā sahī yā bhalā sahī jo kahā sunā use bhuul jā
mire roz-o-shab hī badal ga.e tire ġham ke sāñche meñ Dhal ga.e
mire dil se aa.ī yahī sadā use bhuul jā use bhuul jā
vo chalā gayā tujhe chhoḌ kar tū bhaTak rahā hai ġham oḌh kar
jo thā tere dil ke qarīb-tar tirā vahm thā use bhuul jā
ai 'naved' vaqt ke ghaav se ye mohabbatoñ ke alaav se
jahāñ zaḳhm tujh ko mile nayā vahāñ muskurā use bhuul jā
na ho zikr hijr-o-visal ka dil-e-mubtala use bhul ja
jo kabhi giraft-e-wafa mein tha wo kahan raha use bhul ja
koi karb-o-shauq-e-visal mein raha umr-bhar ajab haal mein
kisi aur ka wo nasib tha so nahin mila use bhul ja
nai ulfaton ke KHumar mein kisi bewafa ke wo pyar mein
tujhe ratjage jo ata kiya wo chala gaya use bhul ja
jo mohabbaton ka jamal tha wo munafiqat mein kamal tha
wo bura sahi ya bhala sahi jo kaha suna use bhul ja
mere roz-o-shab hi badal gae tere gham ke sanche mein Dhal gae
mere dil se aai yahi sada use bhul ja use bhul ja
wo chala gaya tujhe chhoD kar tu bhaTak raha hai gham oDh kar
jo tha tere dil ke qarib-tar tera wahm tha use bhul ja
ai 'nawed' waqt ke ghaw se ye mohabbaton ke alaw se
jahan zaKHm tujh ko mile naya wahan muskura use bhul ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.