na hoga soz-e-dil shayad kisi surat bhi kam mera
na hogā soz-e-dil shāyad kisī sūrat bhī kam merā
mujhe āzād kar ab zindagī ghuTtā hai dam merā
zamīñ dhañs jaa.e jhuk jaa.e falak nākām ho duniyā
uThānā chāheñ gar mil kar sabhī ye bār-e-ġham merā
agar chāho to siina chaak kar ke dil dikhātā huuñ
bayāñ lafzoñ meñ ho saktā nahīñ dard-o-alam merā
asar hotā hai ulTā had se jab baḌhne lage kuchh bhī
baḌhā itnā ki āḳhir ban gayā taskīn-e-ġham merā
qadam rakkhā hī thā us shaḳhs ne is dil kī chaukhaT par
zamīñ se lag gayā tā’zīm meñ sar ho ke ḳham merā
tumhī duniyā the merī tum jo bichhḌe luT ga.ī duniyā
ujaḌ kar rah gayā pal-bhar meñ sab jāh-o-hasham merā
nasīhat sun rahā huuñ shaiḳh kī botal pe nazreñ haiñ
nigāheñ sū-e-mai-ḳhāna haiñ ruḳh sū-e-haram merā
hazāroñ rāste tai kar ke bhī 'yāsir' musāfir huuñ
na jaane kaun sī manzil kā ḳhvāhāñ hai qadam merā
na hoga soz-e-dil shayad kisi surat bhi kam mera
mujhe aazad kar ab zindagi ghuTta hai dam mera
zamin dhans jae jhuk jae falak nakaam ho duniya
uThana chahen gar mil kar sabhi ye bar-e-gham mera
agar chaho to sina chaak kar ke dil dikhata hun
bayan lafzon mein ho sakta nahin dard-o-alam mera
asar hota hai ulTa had se jab baDhne lage kuchh bhi
baDha itna ki aaKHir ban gaya taskin-e-gham mera
qadam rakkha hi tha us shaKHs ne is dil ki chaukhaT par
zamin se lag gaya ta’zim mein sar ho ke KHam mera
tumhi duniya the meri tum jo bichhDe luT gai duniya
ujaD kar rah gaya pal-bhar mein sab jah-o-hasham mera
nasihat sun raha hun shaiKH ki botal pe nazren hain
nigahen su-e-mai-KHana hain ruKH su-e-haram mera
hazaron raste tai kar ke bhi 'yasir' musafir hun
na jaane kaun si manzil ka KHwahan hai qadam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.