na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega
na hoñge ham to ye rañg-e-gulistāñ kaun dekhegā
bahāroñ se hī taḳhrīb-e-bahārāñ kaun dekhegā
sar-e-mahshar jafāoñ kī shikāyat bar-mahal lekin
phir in māsūm nazroñ ko pashīmāñ kaun dekhegā
bajā hai laala o gul kī tabāhī kā tasavvur bhī
magar ye manzar-e-mahshar-ba-dāmāñ kaun dekhegā
mujhe taslīm hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujūm-e-barq-o-bārāñ kaun dekhegā
hasīñ tābīr-e-mustaqbil sahī is kī magar 'anvar'
na.e fitnoñ kā ab ḳhvāb-e-pareshāñ kaun dekhegā
na honge hum to ye rang-e-gulistan kaun dekhega
bahaaron se hi taKHrib-e-bahaaran kaun dekhega
sar-e-mahshar jafaon ki shikayat bar-mahal lekin
phir in masum nazron ko pashiman kaun dekhega
baja hai lala o gul ki tabahi ka tasawwur bhi
magar ye manzar-e-mahshar-ba-daman kaun dekhega
mujhe taslim hai qaid-e-qafas se maut behtar hai
nasheman par hujum-e-barq-o-baran kaun dekhega
hasin tabir-e-mustaqbil sahi is ki magar 'anwar'
nae fitnon ka ab KHwab-e-pareshan kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.