na hote ahl-e-dil ahl-e-sitam jaane kahan jate
na hote ahl-e-dil ahl-e-sitam jaane kahāñ jaate
ye barq-andāz jalve aag barsāne kahāñ jaate
sabhī zāhid-sifat hote to maiḳhāne kahāñ jaate
shabāb-o-kaif-o-sarmastī ke afsāne kahāñ jaate
vo yuuñ kahiye ki Thokar khā ke aatā hai sañbhal jaanā
vagarna tum se zālim ham se pahchāne kahāñ jaate
junūñ gar inqilāb-e-dahr kī rāhoñ pe chal paḌtā
janāb-e-ḳhizr kyā karte ye farzāne kahāñ jaate
mujassam barf hoñ jazbāt jin ke un se kyā hāsil
ham aisī be-hisī meñ ḳhuun garmāne kahāñ jaate
mire hī dam se haiñ 'manzūr' un kī jalva-gāheñ bhī
vagarna hashr-sāmāñ naaz farmāne kahāñ jaate
na hote ahl-e-dil ahl-e-sitam jaane kahan jate
ye barq-andaz jalwe aag barsane kahan jate
sabhi zahid-sifat hote to maiKHane kahan jate
shabab-o-kaif-o-sarmasti ke afsane kahan jate
wo yun kahiye ki Thokar kha ke aata hai sanbhal jaana
wagarna tum se zalim hum se pahchane kahan jate
junun gar inqilab-e-dahr ki rahon pe chal paDta
janab-e-KHizr kya karte ye farzane kahan jate
mujassam barf hon jazbaat jin ke un se kya hasil
hum aisi be-hisi mein KHun garmane kahan jate
mere hi dam se hain 'manzur' un ki jalwa-gahen bhi
wagarna hashr-saman naz farmane kahan jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.