na hoti bhiD rindon ki to maiKHane kidhar jate
na hotī bhiiḌ rindoñ kī to maiḳhāne kidhar jaate
ye mai-noshī kahāñ hotī ye paimāne kidhar jaate
agar insān ban jaate kabhī shaiḳh-o-barahman bhī
to ye ka.aba kahāñ hotā ye but-ḳhāne kidhar jaate
charāġh-e-ḳhāna se vo ban ga.e haiñ sham.a mahfil kī
agar aisā na hotā phir ye parvāne kidhar jaate
hamārī bāda-noshī par huā hairān kyoñ zāhid
na hote piine vaale hī to maiḳhāne kidhar jaate
chaman-zār-e-jahāñ meñ gul hī gul hote agar har sū
to ye kāñTe kahāñ rahte ye vīrāne kidhar jaate
agar siine meñ dil hotā na pahlū meñ jigar hotā
kahāñ paltī mohabbat us ke afsāne kidhar jaate
tirī bātoñ kā ai zāhid agar kuchh bhī asar hotā
namāzī saf-ba-saf hote ye mastāne kidhar jaate
agar vo apne bandoñ par dar-e-rahmat na vā kartā
to ye bande ḳhudā ke phir ḳhudā jaane kidhar jaate
siyah-baḳhtī meñ apne bhī parā.e ho ga.e 'āzam'
agar hotā na ye andher begāne kidhar jaate
na hoti bhiD rindon ki to maiKHane kidhar jate
ye mai-noshi kahan hoti ye paimane kidhar jate
agar insan ban jate kabhi shaiKH-o-barahman bhi
to ye kaba kahan hota ye but-KHane kidhar jate
charagh-e-KHana se wo ban gae hain shama mahfil ki
agar aisa na hota phir ye parwane kidhar jate
hamari baada-noshi par hua hairan kyon zahid
na hote pine wale hi to maiKHane kidhar jate
chaman-zar-e-jahan mein gul hi gul hote agar har su
to ye kanTe kahan rahte ye virane kidhar jate
agar sine mein dil hota na pahlu mein jigar hota
kahan palti mohabbat us ke afsane kidhar jate
teri baaton ka ai zahid agar kuchh bhi asar hota
namazi saf-ba-saf hote ye mastane kidhar jate
agar wo apne bandon par dar-e-rahmat na wa karta
to ye bande KHuda ke phir KHuda jaane kidhar jate
siyah-baKHti mein apne bhi parae ho gae 'azam'
agar hota na ye andher begane kidhar jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.