na hua mail-e-wafa na hua
na huā mā.il-e-vafā na huā
merā matlab kabhī adā na huā
naza.a meñ un kā sāmnā na huā
ye bhī achchhā huā burā na huā
muñh pe Daale naqāb aa.e haiñ
hashr meñ bhī to sāmnā na huā
nāvak-e-yār hī rahā hamdam
dil se mere kabhī judā na huā
bad-nasībī ki ai dil-e-betāb
tū hī ik lā.eq-e-sazā na huā
un kī taskīñ se aur baḌhnā thā
dard-e-dil tham gayā sivā na huā
dūr-andesh hai bahut nāseh
kitnā chheḌā magar ḳhafā na huā
jam.a aġhyār to haiñ mahfil meñ
merā kyā maiñ huā huā na huā
mar-miTā jin ke ishq meñ 'sayyāf'
va.ada un kā kabhī vafā na huā
na hua mail-e-wafa na hua
mera matlab kabhi ada na hua
naza mein un ka samna na hua
ye bhi achchha hua bura na hua
munh pe Dale naqab aae hain
hashr mein bhi to samna na hua
nawak-e-yar hi raha hamdam
dil se mere kabhi juda na hua
bad-nasibi ki ai dil-e-betab
tu hi ek laeq-e-saza na hua
un ki taskin se aur baDhna tha
dard-e-dil tham gaya siwa na hua
dur-andesh hai bahut naseh
kitna chheDa magar KHafa na hua
jama aghyar to hain mahfil mein
mera kya main hua hua na hua
mar-miTa jin ke ishq mein 'sayyaf'
wada un ka kabhi wafa na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.