na huī ham se shab basar na huī
kis se pūchheñ ki kyuuñ sahar na huī
vo nazar-shoḳh-o-fitna-zā hī sahī
kyuuñ mire hāl-e-zār par na huī
bazm meñ ye adā hameñ samjhe
sab ko dekhā udhar nazar na huī
ai mirā haal pūchhne vaale
tujh ko ab tak mirī ḳhabar na huī
ham isī zindagī pe marte haiñ
jo yahāñ chain se basar na huī
kaise kaise sitam hue tujh par
kyuuñ mire dil tujhe ḳhabar na huī
ruuh aalam meñ phūñk dī to kyā
merī jānib to ik nazar na huī
uf mire ġham-kade kī tārīkī
aap aa.e bhī to sahar na huī
dil ne duniyā na.ī banā Daalī
aur hameñ aaj tak ḳhabar na huī
mujh se ruḳhsat huī thī jab duniyā
tum kahāñ the tumheñ ḳhabar na huī
hijr kī raat kāTne vaale
kyā karegā agar sahar na huī
ḳhush raheñ vo ye mudda.ā thā 'azīz'
na huī zindagī basar na huī
na hui hum se shab basar na hui
kis se puchhen ki kyun sahar na hui
wo nazar-shoKH-o-fitna-za hi sahi
kyun mere haal-e-zar par na hui
bazm mein ye ada hamein samjhe
sab ko dekha udhar nazar na hui
ai mera haal puchhne wale
tujh ko ab tak meri KHabar na hui
hum isi zindagi pe marte hain
jo yahan chain se basar na hui
kaise kaise sitam hue tujh par
kyun mere dil tujhe KHabar na hui
ruh aalam mein phunk di to kya
meri jaanib to ek nazar na hui
uf mere gham-kade ki tariki
aap aae bhi to sahar na hui
dil ne duniya nai bana Dali
aur hamein aaj tak KHabar na hui
mujh se ruKHsat hui thi jab duniya
tum kahan the tumhein KHabar na hui
hijr ki raat kaTne wale
kya karega agar sahar na hui
KHush rahen wo ye muddaa tha 'aziz'
na hui zindagi basar na hui
Source :
- Gulkadah(Majmua-e-Ghazliyat)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.