na ibtida hun kisi ki na intiha hun main
na ibtidā huuñ kisī kī na intihā huuñ maiñ
ta.ayyunāt kī had se guzar gayā huuñ maiñ
jo nā-murād-e-azal hai vo iltijā huuñ maiñ
asar se duur jo rahtī hai vo duā huuñ maiñ
tire jamāl kā ā.īna ban gayā huuñ maiñ
hazār pardoñ meñ chhup kar chamak rahā huuñ maiñ
ilāhī kis kī nigāhoñ se gir gayā huuñ maiñ
har ek aañkh ko hasrat se tak rahā huuñ maiñ
tirā karam to ḳhudā jaane kyā sitam hogā
ki jab sitam pe tire jaan de rahā huuñ maiñ
na baaġh se mujhe matlab na baaġh vāloñ se
bhaTak ke dasht se gulshan meñ aa gayā huuñ maiñ
tujhe ḳhabar bhī hai o muḌ ke dekhne vaale
tirī nigāh pe kyā kyā luTā rahā huuñ maiñ
mirī nazar se Tapaktī hai aarzū dil kī
sadā-e-qalb huuñ ḳhāmosh iltijā huuñ maiñ
madad kā vaqt hai ai nā-ḳhudā-e-kashtī-e-dil
tajalliyāt kī maujoñ meñ ghir gayā huuñ maiñ
har ek aañkh mujhe tak rahī hai hairat se
'munīr' kis kī nigāhoñ kā aa.ina huuñ maiñ
na ibtida hun kisi ki na intiha hun main
tayyunat ki had se guzar gaya hun main
jo na-murad-e-azal hai wo iltija hun main
asar se dur jo rahti hai wo dua hun main
tere jamal ka aaina ban gaya hun main
hazar pardon mein chhup kar chamak raha hun main
ilahi kis ki nigahon se gir gaya hun main
har ek aankh ko hasrat se tak raha hun main
tera karam to KHuda jaane kya sitam hoga
ki jab sitam pe tere jaan de raha hun main
na bagh se mujhe matlab na bagh walon se
bhaTak ke dasht se gulshan mein aa gaya hun main
tujhe KHabar bhi hai o muD ke dekhne wale
teri nigah pe kya kya luTa raha hun main
meri nazar se Tapakti hai aarzu dil ki
sada-e-qalb hun KHamosh iltija hun main
madad ka waqt hai ai na-KHuda-e-kashti-e-dil
tajalliyat ki maujon mein ghir gaya hun main
har ek aankh mujhe tak rahi hai hairat se
'munir' kis ki nigahon ka aaina hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.