na iKHlas-e-kaamil na be-dad puri
na iḳhlās-e-kāmil na be-dād puurī
vafā bhī adhūrī jafā bhī adhūrī
vahī ham vahī tum vahī ranj-e-dūrī
mohabbat meñ kyā fāsla hai zarūrī
ba-īñ rabt-e-bāham ba-īñ zabt-e-paiham
vahī nā-shakebī vahī nā-subūrī
mohabbat kī duniyā mohabbat sarāpā
yahāñ koī ḳhākī na naarī na nuurī
ye sab mantiq-o-falsafa be-haqīqat
abhī tak vahī 'aql kī be-shu.ūrī
ḳhudī ko ḳhudī koī jaane na jaane
ḳhudā ko ḳhudā mānñā hai zarūrī
na iKHlas-e-kaamil na be-dad puri
wafa bhi adhuri jafa bhi adhuri
wahi hum wahi tum wahi ranj-e-duri
mohabbat mein kya fasla hai zaruri
ba-in rabt-e-baham ba-in zabt-e-paiham
wahi na-shakebi wahi na-suburi
mohabbat ki duniya mohabbat sarapa
yahan koi KHaki na nari na nuri
ye sab mantiq-o-falsafa be-haqiqat
abhi tak wahi 'aql ki be-shuuri
KHudi ko KHudi koi jaane na jaane
KHuda ko KHuda manna hai zaruri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.