na iltimas-o-guzarish na iltija koi
na iltimās-o-guzārish na iltijā koī
na koī harf-e-duā hai na mudda.ā koī
koī shikāyat-o-shikva bhī hai to ḳhud se hai
fareb-e-vaqt se hargiz nahīñ gila koī
maiñ is yaqīn ko kaise gumāñ shumār karūñ
abhī talak to mire saath saath thā koī
vo merī ruuh meñ ehsās-e-lams chhoḌ gayā
kuchh itne paas se ho kar guzar gayā koī
bas ek kashtī talātum kī zad meñ aane do
ye nāḳhudā bhī pukāreñge hai ḳhudā koī
ye vāqi.a bhī ajab hai ki ḳhatm-e-nūr ke ba.ad
dhuāñ pukārtā hai bujh gayā diyā koī
unheñ bhī tark-e-marāsim se ik zarar pahuñchā
ki chaah kar bhī na de paa.e ġham nayā koī
vo ek duur kī āvāz sab pe chhā.ī rahī
bahut qarīb se detā rahā sadā koī
fasīl-e-zabt pe rakkhā huā charāġh huuñ maiñ
bujhā na pā.egī hargiz mujhe havā koī
na iltimas-o-guzarish na iltija koi
na koi harf-e-dua hai na muddaa koi
koi shikayat-o-shikwa bhi hai to KHud se hai
fareb-e-waqt se hargiz nahin gila koi
main is yaqin ko kaise guman shumar karun
abhi talak to mere sath sath tha koi
wo meri ruh mein ehsas-e-lams chhoD gaya
kuchh itne pas se ho kar guzar gaya koi
bas ek kashti talatum ki zad mein aane do
ye naKHuda bhi pukarenge hai KHuda koi
ye waqia bhi ajab hai ki KHatm-e-nur ke baad
dhuan pukarta hai bujh gaya diya koi
unhen bhi tark-e-marasim se ek zarar pahuncha
ki chah kar bhi na de pae gham naya koi
wo ek dur ki aawaz sab pe chhai rahi
bahut qarib se deta raha sada koi
fasil-e-zabt pe rakkha hua charagh hun main
bujha na paegi hargiz mujhe hawa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.