na ishrat ki tamanna hai na mahfil ki tamanna hai
na ishrat kī tamanna hai na mahfil kī tamanna hai
faqat ik ḳhalvat-e-ġham-āshnā dil kī tamanna hai
tirī daryūzgī meñ lutf aatā hai use varna
tujhe ma.alūm hai jo tere saa.il kī tamanna hai
kuchh aisī āfiyat meñ tere dīvāne nazar aa.e
ki ab dīvāngī har ek aaqil kī tamanna hai
ye madd-o-jazr sab jazb-e-mohabbat ke karishme haiñ
ham-āġhoshī-e-bāham bahr-o-sāhil kī tamanna hai
mirī turbat bane yūñhī zamīn-e-kū-e-jānāñ meñ
ilāhī jis tarah dil meñ mire dil kī tamanna hai
na nikle koī armāñ bas yahī armāñ hai le de kar
mire dil kī tamanna hī mire dil kī tamanna hai
muhāl-o-mumkin-o-dushvār-o-āsāñ jam.a haiñ is meñ
na.ī duniyā nayā aalam mire dil kī tamanna hai
dil-e-pur-ārzū ne zindagī bhar ḳhaak chhanvā.ī
bas ab ai 'yās' ik be-ārzū dil kī tamanna he
na ishrat ki tamanna hai na mahfil ki tamanna hai
faqat ek KHalwat-e-gham-ashna dil ki tamanna hai
teri daryuzgi mein lutf aata hai use warna
tujhe malum hai jo tere sail ki tamanna hai
kuchh aisi aafiyat mein tere diwane nazar aae
ki ab diwangi har ek aaqil ki tamanna hai
ye madd-o-jazr sab jazb-e-mohabbat ke karishme hain
ham-aghoshi-e-baham bahr-o-sahil ki tamanna hai
meri turbat bane yunhi zamin-e-ku-e-jaanan mein
ilahi jis tarah dil mein mere dil ki tamanna hai
na nikle koi arman bas yahi arman hai le de kar
mere dil ki tamanna hi mere dil ki tamanna hai
muhaal-o-mumkin-o-dushwar-o-asan jama hain is mein
nai duniya naya aalam mere dil ki tamanna hai
dil-e-pur-arzu ne zindagi bhar KHak chhanwai
bas ab ai 'yas' ek be-arzu dil ki tamanna he
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.