na itrao chaman walon hasin phulon ke joban par
na itrāo chaman vāloñ hasīñ phūloñ ke joban par
rahā kartī hai rangīnī faqat do roz gulshan par
kahāñ mumkin ki rah jaatā koī tinkā gulistāñ meñ
hazāroñ bijliyāñ girtī rahīñ mere nasheman par
jo āñkhoñ meñ rahe vo be-shubah hai be-bahā gauhar
vo aañsū kyā hai jo aa jaa.e chashm-e-tar se dāman par
satā le jitnā jī chāhe jalā le jitnā jī chāhe
tujhe ronā paḌegā aa ke ik din mere madfan par
kamī to kuchh na thī 'paikāñ' mire shauq-e-shahādat meñ
na jaane teġh-e-qātil kyoñ chalī ruk ruk ke gardan par
na itrao chaman walon hasin phulon ke joban par
raha karti hai rangini faqat do roz gulshan par
kahan mumkin ki rah jata koi tinka gulistan mein
hazaron bijliyan girti rahin mere nasheman par
jo aankhon mein rahe wo be-shubah hai be-baha gauhar
wo aansu kya hai jo aa jae chashm-e-tar se daman par
sata le jitna ji chahe jala le jitna ji chahe
tujhe rona paDega aa ke ek din mere madfan par
kami to kuchh na thi 'paikan' mere shauq-e-shahadat mein
na jaane tegh-e-qatil kyon chali ruk ruk ke gardan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.