na-ja na-ja ki abhi dil mein huzn-o-yas bahut hai
na-jā na-jā ki abhī dil meñ huzn-o-yās bahut hai
zarā Thahar ki tabī'at abhī udaas bahut hai
ḳhayāl-e-dasht-o-bayābāñ nigār-e-shab na sujhā tū
fasurdagī-e-rah-e-ġham abhī to raas bahut hai
tire jamāl kā ai dost ye asar to nahīñ hai
chaman meñ husn-e-bahārāñ guloñ meñ baas bahut hai
havā ke dosh pe aayā hai qāfila shab-e-ġham kā
sulag rahe haiñ sitāre fazā udaas bahut hai
'vahīd' aaj sunā de fasāna-e-shab-e-hijrāñ
abhī to dard-e-farāvāñ diloñ ko raas bahut hai
na-ja na-ja ki abhi dil mein huzn-o-yas bahut hai
zara Thahar ki tabi'at abhi udas bahut hai
KHayal-e-dasht-o-bayaban nigar-e-shab na sujha tu
fasurdagi-e-rah-e-gham abhi to ras bahut hai
tere jamal ka ai dost ye asar to nahin hai
chaman mein husn-e-bahaaran gulon mein bas bahut hai
hawa ke dosh pe aaya hai qafila shab-e-gham ka
sulag rahe hain sitare faza udas bahut hai
'wahid' aaj suna de fasana-e-shab-e-hijran
abhi to dard-e-farawan dilon ko ras bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.