na jadu hun na Tona ho gaya hun
na jaadū huuñ na Tonā ho gayā huuñ
mujhe honā thā honā ho gayā huuñ
unheñ pāras na kah duuñ to kahūñ kyā
jinheñ chhū kar maiñ sonā ho gayā huuñ
baḌhā hai jab se qad ḳhvāhish kā merī
lagā hai aur baunā ho gayā huuñ
vo mere dil se aksar khelte haiñ
zahe-qismat khilaunā ho gayā huuñ
vo chal chal kar tamannā rauñdte haiñ
maiñ bichh bichh kar bichhaunā ho gayā huuñ
kabhī kaatā gayā hālāt ke dhar
kabhī maiñ adhbilaunā ho gayā huuñ
mirī ġhazleñ hī to sāthī haiñ 'sājid'
vagarna ek konā ho gayā huuñ
na jadu hun na Tona ho gaya hun
mujhe hona tha hona ho gaya hun
unhen paras na kah dun to kahun kya
jinhen chhu kar main sona ho gaya hun
baDha hai jab se qad KHwahish ka meri
laga hai aur bauna ho gaya hun
wo mere dil se aksar khelte hain
zahe-qismat khilauna ho gaya hun
wo chal chal kar tamanna raundte hain
main bichh bichh kar bichhauna ho gaya hun
kabhi kata gaya haalat ke dhar
kabhi main adhbilauna ho gaya hun
meri ghazlen hi to sathi hain 'sajid'
wagarna ek kona ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.