na jaega kisi ke gesuon ka KHam-ba-KHam hona
na jaega kisi ke gesuon ka KHam-ba-KHam hona
Anwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
MORE BYAnwar-ul-Haq Ahmar Lucknowi
na jā.egā kisī ke gesuoñ kā ḳham-ba-ḳham honā
bahut mushkil hai mere shauq kī uljhan kā kam honā
sanam-ḳhāna ho yā ka.aba jhukā dūñgā jabīñ apnī
agar sābit huā mujh par tirā naqsh-e-qadam honā
bhalā kyūñkar vo bachtā aap ke dām-e-mohabbat se
muqaddar hī meñ thā jis ke asīr-e-ranj-o-ġham honā
na itnī de ki maiñ bahkūñ na tishna-lab rahūñ saaqī
ba-qadr-e-zarf sāġhar de burā hai besh-o-kam honā
nazar vāloñ se pūchho tum bulandī kū-e-jānāñ kī
ta.ajjub kyā hai us kā ġhairat-e-bāġh-e-iram honā
faqat ye soch kar aañsū bahātā huuñ shab-e-furqat
kabhī to rang lā.egā mirā ye chashm-e-nam honā
chaman ke gosha gosha meñ faqat bijlī kā charchā hai
kuchh aisā rang laayā hai mirā jal kar bhasam honā
tah-e-ḳhanjar bhī hoñToñ par mire aaya to ye aaya
mubārak ho sitam-ījād ko ahl-e-sitam honā
ḳhayāl-e-hūr meñ din-rāt vo badmast rahtā hai
nahīñ kuchh kaam aaya shaiḳh kā ahl-e-haram honā
tavaqqo rahm kī us se na rakh tū ai dil-e-nādāñ
kabhī mumkin nahīñ jallād kā ahl-e-karam honā
adā karke rahūñgā ek din maiñ is farīze ko
agar taqdīr meñ hī likh gayā hai sar qalam honā
hazāroñ ranj-o-ġham sah kar bhī maiñ hañstā huuñ ai 'ahmar'
bashar ke vāste hai lāzmī sābit-qadam honā
na jaega kisi ke gesuon ka KHam-ba-KHam hona
bahut mushkil hai mere shauq ki uljhan ka kam hona
sanam-KHana ho ya kaba jhuka dunga jabin apni
agar sabit hua mujh par tera naqsh-e-qadam hona
bhala kyunkar wo bachta aap ke dam-e-mohabbat se
muqaddar hi mein tha jis ke asir-e-ranj-o-gham hona
na itni de ki main bahkun na tishna-lab rahun saqi
ba-qadr-e-zarf saghar de bura hai besh-o-kam hona
nazar walon se puchho tum bulandi ku-e-jaanan ki
tajjub kya hai us ka ghairat-e-bagh-e-iram hona
faqat ye soch kar aansu bahata hun shab-e-furqat
kabhi to rang laega mera ye chashm-e-nam hona
chaman ke gosha gosha mein faqat bijli ka charcha hai
kuchh aisa rang laya hai mera jal kar bhasam hona
tah-e-KHanjar bhi honTon par mere aaya to ye aaya
mubarak ho sitam-ijad ko ahl-e-sitam hona
KHayal-e-hur mein din-raat wo badmast rahta hai
nahin kuchh kaam aaya shaiKH ka ahl-e-haram hona
tawaqqo rahm ki us se na rakh tu ai dil-e-nadan
kabhi mumkin nahin jallad ka ahl-e-karam hona
ada karke rahunga ek din main is farize ko
agar taqdir mein hi likh gaya hai sar qalam hona
hazaron ranj-o-gham sah kar bhi main hansta hun ai 'ahmar'
bashar ke waste hai lazmi sabit-qadam hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.