na jage hain na hum soe hue hain
na jaage haiñ na ham so.e hue haiñ
kisī ke dhyān meñ kho.e hue haiñ
tū jis kī chhāñv meñ itrā rahā hai
shajar ye sab mire bo.e hue haiñ
jo kāñTe haiñ tumhāre rāste meñ
tumhāre haath ke bo.e hue haiñ
uThe to chāñd sūraj maañg leñge
hameñ sone do ham so.e hue haiñ
abhī kuchh pal namak mat Dāliyegā
abhī zaḳhmoñ ko ham dho.e hue haiñ
na jage hain na hum soe hue hain
kisi ke dhyan mein khoe hue hain
tu jis ki chhanw mein itra raha hai
shajar ye sab mere boe hue hain
jo kanTe hain tumhaare raste mein
tumhaare hath ke boe hue hain
uThe to chand suraj mang lenge
hamein sone do hum soe hue hain
abhi kuchh pal namak mat Daliyega
abhi zaKHmon ko hum dhoe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.