na jaane aag kaisi aainon mein so rahi thi
na jaane aag kaisī ā.inoñ meñ so rahī thī
dhuāñ bhī uTh rahā thā raushnī bhī ho rahī thī
lahū merī nasoñ meñ bhī kabhī kā jam chukā thā
badan par barf ko oḌhe nadī bhī so rahī thī
chamakte bartanoñ meñ ḳhuun gaarā ho rahā thā
mirī āñkhoñ meñ baiThī koī ḳhvāhish ro rahī thī
hamārī dostī meñ bhī darāḌeñ paḌ rahī thiiñ
ujāle meñ numāyāñ tīrgī bhī ho rahī thī
dabāv pāniyoñ kā ek jānib baḌh rahā thā
na jaane sāhiloñ par kaun kapḌe dho rahī thī
kisī ke lams kā ehsās paiham ho rahā thā
ki jaise phuul par mā'sūm titlī so rahī thī
na jaane aag kaisi aainon mein so rahi thi
dhuan bhi uTh raha tha raushni bhi ho rahi thi
lahu meri nason mein bhi kabhi ka jam chuka tha
badan par barf ko oDhe nadi bhi so rahi thi
chamakte bartanon mein KHun gara ho raha tha
meri aankhon mein baiThi koi KHwahish ro rahi thi
hamari dosti mein bhi daraDen paD rahi thin
ujale mein numayan tirgi bhi ho rahi thi
dabaw paniyon ka ek jaanib baDh raha tha
na jaane sahilon par kaun kapDe dho rahi thi
kisi ke lams ka ehsas paiham ho raha tha
ki jaise phul par ma'sum titli so rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.