na jaane daur kaisa aa raha hai
na jaane daur kaisā aa rahā hai
jise dekho vahī samjhā rahā hai
kabhī is baat par ro.egā tū bhī
abhī jis baat par itrā rahā hai
ziyāda se ziyāda kī talab meñ
musalsal ḳharch hotā jā rahā hai
chabā.e jā rahī hai terī sāñseñ
tū jis roTī ke luqme khā rahā hai
tujhe jhulsā rahī hai terī cigarette
jise tū shauq se sulgā rahā hai
tujhe tezī nigaltī jā rahī hai
tū bhāgā sirf bhāgā jā rahā hai
har ik lamha tirā girvī paḌā hai
kalā.ī par nazar Thahrā rahā hai
tujhe ḳhvāboñ ne zaḳhmī kar diyā kyā
jo yuuñ tā۔bīr ko taḌpā rahā hai
haqīqat meñ fasāne ko milā kar
fasāne meñ haqīqat lā rahā hai
tujhe us ne ragaḌ ke rakh diyā hai
tū jis dūkān ko chamkā rahā hai
na jaane daur kaisa aa raha hai
jise dekho wahi samjha raha hai
kabhi is baat par roega tu bhi
abhi jis baat par itra raha hai
ziyaada se ziyaada ki talab mein
musalsal KHarch hota ja raha hai
chabae ja rahi hai teri sansen
tu jis roTi ke luqme kha raha hai
tujhe jhulsa rahi hai teri cigarette
jise tu shauq se sulga raha hai
tujhe tezi nigalti ja rahi hai
tu bhaga sirf bhaga ja raha hai
har ek lamha tera girwi paDa hai
kalai par nazar Thahra raha hai
tujhe KHwabon ne zaKHmi kar diya kya
jo yun ta۔bir ko taDpa raha hai
haqiqat mein fasane ko mila kar
fasane mein haqiqat la raha hai
tujhe us ne ragaD ke rakh diya hai
tu jis dukan ko chamka raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.