na jaane kab se barabar meri talash mein hai
na jaane kab se barabar meri talash mein hai
Aziz Bano Darab Wafa
MORE BYAziz Bano Darab Wafa
na jaane kab se barābar mirī talāsh meñ hai
ye kaun ḳhud mire andar mirī talāsh meñ hai
vo mujh meñ aur kisī ko talāsh kartā hai
jo mere paas bhī rah kar mirī talāsh meñ hai
gilā thā jis ko ki maiñ us kā ā.īna na banī
ab apne saa.e se thak kar mirī talāsh meñ hai
ubal paḌūñ na maiñ ik din kahīñ kināroñ se
zamīn huuñ maiñ samundar mirī talāsh meñ hai
na jaane kab se barabar meri talash mein hai
ye kaun KHud mere andar meri talash mein hai
wo mujh mein aur kisi ko talash karta hai
jo mere pas bhi rah kar meri talash mein hai
gila tha jis ko ki main us ka aaina na bani
ab apne sae se thak kar meri talash mein hai
ubal paDun na main ek din kahin kinaron se
zamin hun main samundar meri talash mein hai
- Book : Goonj (Pg. 124)
- Author : Aziz Bano Darab Wafa
- Publication : Educational Book House, Aligarah (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.