na jaane kaun hai kya hai kahan se aaya hai
na jaane kaun hai kyā hai kahāñ se aayā hai
vo merā ain hai yā ḳhvāb hai yā dhokā hai
na dekh vaqt yuuñ mujh ko ye terā chehra hai
jo shaḳhs mujh meñ chhupā hai vo kitnā saada hai
havā ke ghuñghrū haiñ sākit thakī thakī hai shaam
udāsiyoñ kā har ik samt jaal phailā hai
fazā meñ uḌte parindoñ ne par sameT liye
nuzūl-e-shām hai aur rāsta akelā hai
tamām khel huā din Dhalā chalo ab ghar
na jaane mujh meñ utartā ye dard kaisā hai
siyāh raat kā panchhī hai pañkh phailā.e
magar diloñ meñ bahut duur tak ujālā hai
use bhī saath na mauj-e-balā to le jaanā
yahīñ pe mere sakūñ kā jazīra Duubā hai
guzishta zaḳhmoñ ke Tāñke masakte jaate haiñ
kisī ne duur bahut duur se pukārā hai
'shamīm' biitī rutoñ kī hai chāñdnī phailī
fasīl-e-shab se ḳhayāloñ kā chāñd ubhrā hai
na jaane kaun hai kya hai kahan se aaya hai
wo mera ain hai ya KHwab hai ya dhoka hai
na dekh waqt yun mujh ko ye tera chehra hai
jo shaKHs mujh mein chhupa hai wo kitna sada hai
hawa ke ghunghru hain sakit thaki thaki hai sham
udasiyon ka har ek samt jal phaila hai
faza mein uDte parindon ne par sameT liye
nuzul-e-sham hai aur rasta akela hai
tamam khel hua din Dhala chalo ab ghar
na jaane mujh mein utarta ye dard kaisa hai
siyah raat ka panchhi hai pankh phailae
magar dilon mein bahut dur tak ujala hai
use bhi sath na mauj-e-bala to le jaana
yahin pe mere sakun ka jazira Duba hai
guzishta zaKHmon ke Tanke masakte jate hain
kisi ne dur bahut dur se pukara hai
'shamim' biti ruton ki hai chandni phaili
fasil-e-shab se KHayalon ka chand ubhra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.