na jaane kaun sa manzar sadaen deta hai
na jaane kaun sā manzar sadā.eñ detā hai
maiñ piilī dhuup vo niilī havā.eñ detā hai
kisī ke chehre pe gard-e-malāl dekhtī huuñ
ḳhudā kabhī na kabhī to sazā.eñ detā hai
ḳhayāl-e-yār ne āñkheñ hamārī nam rakkhīñ
jamāl-e-yār palaT ke jafā.eñ detā hai
tire mazār se vīre! mahak sī aatī hai
tū mujh se duur bhī rah kar duā.eñ detā hai
ġhubār-e-ġham hai shab-e-hijr aur maiñ kamlī
firāq-e-yār bhī kyā kyā adā.eñ detā hai
safar kī dhuul thakan aable shikasta badan
ye sher yuuñ nahīñ hotā balā.eñ detā hai
tū jis maqām pe baiThī hai rābiya 'basrī'
faqat ye naam hī tujh ko ziyā.eñ detā hai
na jaane kaun sa manzar sadaen deta hai
main pili dhup wo nili hawaen deta hai
kisi ke chehre pe gard-e-malal dekhti hun
KHuda kabhi na kabhi to sazaen deta hai
KHayal-e-yar ne aankhen hamari nam rakkhin
jamal-e-yar palaT ke jafaen deta hai
tere mazar se wire! mahak si aati hai
tu mujh se dur bhi rah kar duaen deta hai
ghubar-e-gham hai shab-e-hijr aur main kamli
firaq-e-yar bhi kya kya adaen deta hai
safar ki dhul thakan aable shikasta badan
ye sher yun nahin hota balaen deta hai
tu jis maqam pe baiThi hai rabiya 'basri'
faqat ye nam hi tujh ko ziyaen deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.