na jaane kaun si ghaflat mein hun main
na jaane kaun sī ġhaflat meñ huuñ maiñ
ajab se dard kī shiddat meñ huuñ maiñ
chalo phir kal milūñgā yaar tum se
abhī to ishq kī mayyat meñ huuñ maiñ
dikhā thā ḳhvāb meñ rotā huā dil
kahūñ kyā ab talak dahshat meñ huuñ maiñ
mujhe tum DhūñDhte phirte kahāñ ho
tumhāre pyaar kī lazzat meñ huuñ maiñ
hameñ bichhḌe to ik arsa huā par
sunā hai aaj tak aadat meñ huuñ maiñ
kisī jaadū yā Tone kā asar hai
suno kuchh roz se diqqat meñ huuñ maiñ
tumheñ kuchh 'mīt' se kahnā hai shāyad
chale aao abhī fursat meñ huuñ maiñ
na jaane kaun si ghaflat mein hun main
ajab se dard ki shiddat mein hun main
chalo phir kal milunga yar tum se
abhi to ishq ki mayyat mein hun main
dikha tha KHwab mein rota hua dil
kahun kya ab talak dahshat mein hun main
mujhe tum DhunDhte phirte kahan ho
tumhaare pyar ki lazzat mein hun main
hamein bichhDe to ek arsa hua par
suna hai aaj tak aadat mein hun main
kisi jadu ya Tone ka asar hai
suno kuchh roz se diqqat mein hun main
tumhein kuchh 'mit' se kahna hai shayad
chale aao abhi fursat mein hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.