na-jaane KHauf kyon utra hai aasmanon se
na-jāne ḳhauf kyoñ utrā hai āsmānoñ se
farār meñ haiñ parinde kyoñ ab uḌānoñ se
sazā milī hai yahāñ ḳhvāb dekhne kī bhī
utaar laa.e haiñ ḳhud ko baḌe nishānoñ se
na-jāne kyoñ yahāñ ḳhāmoshiyāñ muqaddar haiñ
na-jāne qahqahe ġhā.eb haiñ kyoñ makānoñ se
ab aa ke sar meñ samāyā junūñ samundar kā
havā ne haath milāyā hai bādbānoñ se
samay ko moḌnā mumkin kahāñ hai ab 'shāhid'
nikal chuke haiñ sabhī tiir ab kamānoñ se
na-jaane KHauf kyon utra hai aasmanon se
farar mein hain parinde kyon ab uDanon se
saza mili hai yahan KHwab dekhne ki bhi
utar lae hain KHud ko baDe nishanon se
na-jaane kyon yahan KHamoshiyan muqaddar hain
na-jaane qahqahe ghaeb hain kyon makanon se
ab aa ke sar mein samaya junun samundar ka
hawa ne hath milaya hai baadbanon se
samay ko moDna mumkin kahan hai ab 'shahid'
nikal chuke hain sabhi tir ab kamanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.