na jaane kis KHayal se ranjida ho gaya
na jaane kis ḳhayāl se ranjīda ho gayā
maiñ chehra us kā dekh ke sanjīda ho gayā
vo daur thā to lagtā thā āsān sā javāb
aayā qarīb mere to pechīda ho gayā
ik lamha zindagī ne hasīñ-tar mujhe diyā
zaanū pe rakh ke sar ko vo ḳhvābīda ho gayā
na jaane kis KHayal se ranjida ho gaya
main chehra us ka dekh ke sanjida ho gaya
wo daur tha to lagta tha aasan sa jawab
aaya qarib mere to pechida ho gaya
ek lamha zindagi ne hasin-tar mujhe diya
zanu pe rakh ke sar ko wo KHwabida ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.