Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

na-jaane kis ki dua hai ki kaam chal raha hai

Jabbar Wasif

na-jaane kis ki dua hai ki kaam chal raha hai

Jabbar Wasif

MORE BYJabbar Wasif

    na-jāne kis du'ā hai ki kaam chal rahā hai

    koī nizām nahīñ aur nizām chal rahā hai

    rah-e-vafā meñ bichhe haiñ jafā ke angāre

    jo chal rahā hai vo do-chār gaam chal rahā hai

    ka.ī adīboñ ke nāmard ho chuke haiñ qalam

    ka.ī baras se faqat un naam chal rahā hai

    ḳhabar milī hai ki āqā-parast bastī meñ

    kisī ke pīchhe kisī ġhulām chal rahā hai

    jo khā chukā hai hamāre shakeb aur sarvat

    suḳhan-kadoñ meñ vahī harf-e-ḳhām chal rahā hai

    maiñ jāntā huuñ jo nā-shā’iroñ hai qīmat

    maiñ jāntā huuñ jo in sab daam chal rahā hai

    hai sabt muhr-e-sifārish hasīn jismoñ par

    adab manDī meñ māl-e-harām chal rahā hai

    tujhe ḳhabar nahīñ 'vāsif' badan ke sikke

    ai mere dost ye sikka to 'aam chal rahā hai

    na-jaane kis ki du'a hai ki kaam chal raha hai

    koi nizam nahin aur nizam chal raha hai

    rah-e-wafa mein bichhe hain jafa ke angare

    jo chal raha hai wo do-chaar gam chal raha hai

    kai adibon ke namard ho chuke hain qalam

    kai baras se faqat un ka nam chal raha hai

    KHabar mili hai ki aaqa-parast basti mein

    kisi ke pichhe kisi ka ghulam chal raha hai

    jo kha chuka hai hamare shakeb aur sarwat

    suKHan-kadon mein wahi harf-e-KHam chal raha hai

    main jaanta hun jo na-sha’iron ki hai qimat

    main jaanta hun jo in sab ka dam chal raha hai

    hai sabt muhr-e-sifarish hasin jismon par

    adab ki manDi mein mal-e-haram chal raha hai

    tujhe KHabar nahin 'wasif' badan ke sikke ki

    ai mere dost ye sikka to 'am chal raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now