na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujhko
na jaane kis ne palaT kar ye dī sadā mujh ko
sujhā.ī detā nahīñ aage rāsta mujh ko
maiñ us ke baare meñ sochūñ ġharaz nahīñ lekin
vo dekhne meñ to achchhā-bhalā lagā mujh ko
sitam kī nāg-phanī Das rahī thī tanhā.ī
tire baġhair akele meñ Dar lagā mujh ko
usī ke lams kī ḳhushbū basī hai sāñsoñ meñ
ai kaash vo bhī to apne meñ DhūñDhtā mujh ko
kisī bhī haal na chhūTe ye sabr kā dāman
ḳhudā-e-pāk 'atā kar vo hausla mujh ko
vo jis ko jiine kā maiñ ne shu'ūr baḳhshā thā
dikhā rahā hai vahī shaḳhs ā.īna mujh ko
har ek samt sitam Dhā rahe haiñ ibn-e-yazīd
lage hai hind bhī maidān-e-karbalā mujh ko
maiñ us ke vāste sab kuchh nisār kar detā
agar vo pyaar se 'arshad' pukārtā mujh ko
na jaane kis ne palaT kar ye di sada mujh ko
sujhai deta nahin aage rasta mujh ko
main us ke bare mein sochun gharaz nahin lekin
wo dekhne mein to achchha-bhala laga mujh ko
sitam ki nag-phani Das rahi thi tanhai
tere baghair akele mein Dar laga mujh ko
usi ke lams ki KHushbu basi hai sanson mein
ai kash wo bhi to apne mein DhunDhta mujh ko
kisi bhi haal na chhuTe ye sabr ka daman
KHuda-e-pak 'ata kar wo hausla mujh ko
wo jis ko jine ka main ne shu'ur baKHsha tha
dikha raha hai wahi shaKHs aaina mujh ko
har ek samt sitam Dha rahe hain ibn-e-yazid
lage hai hind bhi maidan-e-karbala mujh ko
main us ke waste sab kuchh nisar kar deta
agar wo pyar se 'arshad' pukarta mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.