na jaane kis se bichhDe the hum aise
na jaane kis se bichhḌe the ham aise
zamāne bhar ne dil rakkhā hamārā
sadā gūñjī magar ḳhālī hī lauTī
nishāna phir nahīñ chūkā hamārā
tasavvuf kī jo sunte kuchh nā karte
kisī jangal meñ dil lagtā hamārā
tavāzun māñgne aaya thā sūraj
banānā paḌ gayā saayā hamārā
zamāna so ga.e the tab jage ham
koī sapnā nahīñ TuuTā hamārā
shajar the kaaT ke laa.e ga.e ham
jahāñ meñ kho gayā qissa hamārā
suḳhan se us kī hairat chhīn legā
muqarrar vaqt par marnā hamārā
na jaane kis se bichhDe the hum aise
zamane bhar ne dil rakkha hamara
sada gunji magar KHali hi lauTi
nishana phir nahin chuka hamara
tasawwuf ki jo sunte kuchh na karte
kisi jangal mein dil lagta hamara
tawazun mangne aaya tha suraj
banana paD gaya saya hamara
zamana so gae the tab jage hum
koi sapna nahin TuTa hamara
shajar the kaT ke lae gae hum
jahan mein kho gaya qissa hamara
suKHan se us ki hairat chhin lega
muqarrar waqt par marna hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.