na jaane kya kahani ho rahi hai
na jaane kyā kahānī ho rahī hai
pareshāñ zindagānī ho rahī hai
musalsal hijr hañs kar kaT rahā hai
musalsal be-imānī ho rahī hai
udāsī se nikal aa.e haiñ aañsū
ayaañ soz-e-nihānī ho rahī hai
musāfir zaḳhm khā kar hañs rahe haiñ
ye kaisī hukmrānī ho rahī hai
udhar beTā bigaḌtā jā rahā hai
idhar beTī siyānī ho rahī hai
hameñ hañste hue dekhā hai jab se
pashemāñ rā.egānī ho rahī hai
na jaane kya kahani ho rahi hai
pareshan zindagani ho rahi hai
musalsal hijr hans kar kaT raha hai
musalsal be-imani ho rahi hai
udasi se nikal aae hain aansu
ayan soz-e-nihani ho rahi hai
musafir zaKHm kha kar hans rahe hain
ye kaisi hukmrani ho rahi hai
udhar beTa bigaDta ja raha hai
idhar beTi siyani ho rahi hai
hamein hanste hue dekha hai jab se
pasheman raegani ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.