na jaane kyon guman ye ho raha hai
na jaane kyoñ gumāñ ye ho rahā hai
bichhaḌ kar mujh se vo bhī ro rahā hai
maiñ jitnā chāhtī huuñ duur jaanā
vo utnā paas mere ho rahā hai
jo detā thā kabhī phūloñ ke tohfe
vahī ab rah meñ kāñTe bo rahā hai
mire jīvan meñ tum aa.e ho jab se
mirā har ḳhvāb puurā ho rahā hai
koī Duubā huā hai qahqahoñ meñ
koī parvat dukhoñ ke Dho rahā hai
na jaane kyon guman ye ho raha hai
bichhaD kar mujh se wo bhi ro raha hai
main jitna chahti hun dur jaana
wo utna pas mere ho raha hai
jo deta tha kabhi phulon ke tohfe
wahi ab rah mein kanTe bo raha hai
mere jiwan mein tum aae ho jab se
mera har KHwab pura ho raha hai
koi Duba hua hai qahqahon mein
koi parwat dukhon ke Dho raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.