na jaane kyon ek uljhan dil mein har dam pai jati hai
na jaane kyoñ ik uljhan dil meñ har dam paa.ī jaatī hai
hañsī hoñToñ pe aatī to nahīñ hai laa.ī jaatī hai
kahāñ ehsās hotā hai ḳhirad ye mujh ko batlā.e
mujhe alfāz kī zanjīr jab pahnā.ī jaatī hai
jiyā kāñToñ meñ lekin phuul muskāta rahā har dam
ki dil kī Tiis ġhairoñ ko kahāñ dikhlā.ī jaatī hai
urūs-e-zindagī terī ajab taqdīr hai kitnī
kahīñ Thukrā.ī jaatī hai kahīñ apnā.ī jaatī hai
na jaane kyon ek uljhan dil mein har dam pai jati hai
hansi honTon pe aati to nahin hai lai jati hai
kahan ehsas hota hai KHirad ye mujh ko batlae
mujhe alfaz ki zanjir jab pahnai jati hai
jiya kanTon mein lekin phul muskata raha har dam
ki dil ki Tis ghairon ko kahan dikhlai jati hai
urus-e-zindagi teri ajab taqdir hai kitni
kahin Thukrai jati hai kahin apnai jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.