na jaane kyon us ghaDi bikharne se rah gaya tha
na jaane kyoñ us ghaḌī bikharne se rah gayā thā
maiñ us kī āvāz par Thaharne se rah gayā thā
us ek lamhe kī rā.egānī kā dukh hai saarā
vo terī qurbat meñ jo guzarne se rah gayā thā
ḳhushī ke raste ko muskurātā huā gayā hai
vo ġham jo dil meñ qiyām karne se rah gayā thā
kisī kī āñkhoñ se bah chalī thī tamām hairat
vo ā.īna-rū thā aur sañvarne se rah gayā thā
matā-e-dil ko bachā to laa.ī thī nā-rasā.ī
ki rah gayā thā vo qarz utarne se rah gayā thā
maiñ ek manzar meñ ik musavvir kā ruup dhāre
us ek manzar meñ rang bharne se rah gayā thā
hamārī āñkhoñ meñ kuchh nahīñ thā sivā.e dil ke
sivā.e dil ke sabhī sañvarne se rah gayā thā
kisī jazīre pe raat yādeñ baras rahī thiiñ
kahīñ samundar thā jo bipharne se rah gayā thā
na jaane kyon us ghaDi bikharne se rah gaya tha
main us ki aawaz par Thaharne se rah gaya tha
us ek lamhe ki raegani ka dukh hai sara
wo teri qurbat mein jo guzarne se rah gaya tha
KHushi ke raste ko muskuraata hua gaya hai
wo gham jo dil mein qiyam karne se rah gaya tha
kisi ki aankhon se bah chali thi tamam hairat
wo aaina-ru tha aur sanwarne se rah gaya tha
mata-e-dil ko bacha to lai thi na-rasai
ki rah gaya tha wo qarz utarne se rah gaya tha
main ek manzar mein ek musawwir ka rup dhaare
us ek manzar mein rang bharne se rah gaya tha
hamari aankhon mein kuchh nahin tha siwae dil ke
siwae dil ke sabhi sanwarne se rah gaya tha
kisi jazire pe raat yaaden baras rahi thin
kahin samundar tha jo bipharne se rah gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.