na jaane kyon ye jahan dar-ba-dar hai kya kahiye
na jaane kyon ye jahan dar-ba-dar hai kya kahiye
Zahid Ali Khan Asar
MORE BYZahid Ali Khan Asar
na jaane kyoñ ye jahāñ dar-ba-dar hai kyā kahiye
rafāqatoñ kā safar muḳhtasar hai kyā kahiye
tasavvurāt kī mahfil sajā.e baiThā huuñ
vo husn rāhat-e-qalb-o-nazar hai kyā kahiye
kisī ke ishq ne baḳhshā hai vo sukūñ mujh ko
ki ek haal meñ dil aur jigar hai kyā kahiye
sabāhatoñ kī panāhoñ meñ umr guzrī hai
ki husn-o-ishq kā ġham sar-basar hai kyā kahiye
sabā-e-nāz ne mausam kī parvarish kī hai
bisāt-e-nūr hī hadd-e-nazar hai kyā kahiye
ab aur kyā na.ī tahzīb kuchh sabaq degī
hai jis ke haath meñ ḳhanjar bashar hai kyā kahiye
'asar' vo jis kī hasīñ zulf ke asiir rahe
vo shoḳh-o-shang hī nā-mo'tabar hai kyā kahiye
na jaane kyon ye jahan dar-ba-dar hai kya kahiye
rafaqaton ka safar muKHtasar hai kya kahiye
tasawwuraat ki mahfil sajae baiTha hun
wo husn rahat-e-qalb-o-nazar hai kya kahiye
kisi ke ishq ne baKHsha hai wo sukun mujh ko
ki ek haal mein dil aur jigar hai kya kahiye
sabahaton ki panahon mein umr guzri hai
ki husn-o-ishq ka gham sar-basar hai kya kahiye
saba-e-naz ne mausam ki parwarish ki hai
bisat-e-nur hi hadd-e-nazar hai kya kahiye
ab aur kya nai tahzib kuchh sabaq degi
hai jis ke hath mein KHanjar bashar hai kya kahiye
'asar' wo jis ki hasin zulf ke asir rahe
wo shoKH-o-shang hi na-mo'tabar hai kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.