na jaane uske kitne hi sahaare sath rahte hain
na jaane us ke kitne hī sahāre saath rahte haiñ
vo paatā manzileñ jis ke sitāre saath rahte haiñ
chale jaao kahīñ lekin akele tum nahīñ hote
yaqīñ maano vahāñ ham bhī tumhāre saath rahte haiñ
kahāñ chūhā kahāñ billī kahāñ kuttā kahāñ panchhī
musībat jab paḌī ho to ye saare saath rahte haiñ
falak tum ho zamīñ ham haiñ nahīñ mumkin kabhī milnā
nadī ke bhī kahāñ donoñ kināre saath rahte haiñ
manāzir vo bhī dikhte haiñ jinheñ ho dekhnā mushkil
kahāñ ḳhush-rang har dam hī nazāre saath rahte haiñ
na samjhāo vatan kī tum taraqqī kā inheñ matlab
ye bastī hai jahāñ qismat ke maare saath rahte haiñ
akele ham raheñ phir bhī 'nazar' tanhā nahīñ hote
tumhāre ḳhvāboñ ke saa.e hamāre saath rahte haiñ
na jaane us ke kitne hi sahaare sath rahte hain
wo pata manzilen jis ke sitare sath rahte hain
chale jao kahin lekin akele tum nahin hote
yaqin mano wahan hum bhi tumhaare sath rahte hain
kahan chuha kahan billi kahan kutta kahan panchhi
musibat jab paDi ho to ye sare sath rahte hain
falak tum ho zamin hum hain nahin mumkin kabhi milna
nadi ke bhi kahan donon kinare sath rahte hain
manazir wo bhi dikhte hain jinhen ho dekhna mushkil
kahan KHush-rang har dam hi nazare sath rahte hain
na samjhao watan ki tum taraqqi ka inhen matlab
ye basti hai jahan qismat ke mare sath rahte hain
akele hum rahen phir bhi 'nazar' tanha nahin hote
tumhaare KHwabon ke sae hamare sath rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.