na jao ghar abhi to raat hai baadal bhi kale hain
na jaao ghar abhī to raat hai bādal bhī kaale haiñ
azaañ samjhe ho tum jis ko kisī bekas ke naale haiñ
tum apne zulm kā mahshar meñ kar lo in se andāza
ye jitne haiñ ḳhudā ke sāmne fariyād vaale haiñ
'qamar' tasbīh paḌhte jā rahe haiñ sū-e-mai-ḳhāna
koī dekhe to ye samjhe baḌe allāh vaale haiñ
na jao ghar abhi to raat hai baadal bhi kale hain
azan samjhe ho tum jis ko kisi bekas ke nale hain
tum apne zulm ka mahshar mein kar lo in se andaza
ye jitne hain KHuda ke samne fariyaad wale hain
'qamar' tasbih paDhte ja rahe hain su-e-mai-KHana
koi dekhe to ye samjhe baDe allah wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.