na jab apna hi gham apna na jab apni KHushi apni
na jab apnā hī ġham apnā na jab apnī ḳhushī apnī
to phir kyūñkar guzāre hañs ke insāñ zindagī apnī
mohabbat raaz ban kar rah nahīñ saktī zamāne meñ
ki ham ne dāstān-e-dard auroñ se sunī apnī
pareshāñ-ḳhātirī kā lutf kuchh baaqī nahīñ rahtā
agar had se guzar jaa.e pareshāñ-ḳhātirī apnī
achānak nāḳhudā ḳhush ho ke ghabrā sā gayā varna
na sāhil paas aatā aur na kashtī Dūbtī apnī
'razā' tark-e-tamannā is liye mujh ko gavārā hai
ki ab dekhī nahīñ jaatī kisī se be-kasī apnī
na jab apna hi gham apna na jab apni KHushi apni
to phir kyunkar guzare hans ke insan zindagi apni
mohabbat raaz ban kar rah nahin sakti zamane mein
ki hum ne dastan-e-dard auron se suni apni
pareshan-KHatiri ka lutf kuchh baqi nahin rahta
agar had se guzar jae pareshan-KHatiri apni
achanak naKHuda KHush ho ke ghabra sa gaya warna
na sahil pas aata aur na kashti Dubti apni
'raza' tark-e-tamanna is liye mujh ko gawara hai
ki ab dekhi nahin jati kisi se be-kasi apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.