na jab dikhlae kuchh bhi aankh pyare
na jab dikhlā.e kuchh bhī aañkh pyāre
to phir tū apne andar jhāñk pyāre
talātum-ḳhez hai jo dil kā dariyā
sifāl-e-dasht-e-vahshat phāñk pyāre
agar mahtāb dil kā bujh gayā hai
sar-e-mizhgāñ sitāre Taañk pyāre
hai ulfat se digar iz.hār-e-ulfat
na ik lāThī se sab ko haañk pyāre
na jab dikhlae kuchh bhi aankh pyare
to phir tu apne andar jhank pyare
talatum-KHez hai jo dil ka dariya
sifal-e-dasht-e-wahshat phank pyare
agar mahtab dil ka bujh gaya hai
sar-e-mizhgan sitare Tank pyare
hai ulfat se digar izhaar-e-ulfat
na ek laThi se sab ko hank pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.