na jawab achchha hai ai dil na sawal achchha hai
na javāb achchhā hai ai dil na savāl achchhā hai
bas vo jis haal meñ rakkhe vahī haal achchhā hai
kaun sā rang hai jo us pe nahīñ phabtā hai
kyūñki har rang meñ vo rang-e-jamāl achchhā hai
jis taraf uThtī haiñ dīvāna banā detī haiñ
aap kī nazroñ meñ sāhab ye kamāl achchhā hai
aap ko dekh ke bīmār shifā pā.egā
aap aa jaa.eñ to bīmār kā haal achchhā hai
merī qismat kī lakīroñ ko badal kar mujh se
vo abhī kah ke ga.e haiñ ki ye saal achchhā hai
ishq kī raah ye maanā ki hai dushvār 'nasīm'
is haqīqat ko samajh is kā ma.aal achchhā hai
na jawab achchha hai ai dil na sawal achchha hai
bas wo jis haal mein rakkhe wahi haal achchha hai
kaun sa rang hai jo us pe nahin phabta hai
kyunki har rang mein wo rang-e-jamal achchha hai
jis taraf uThti hain diwana bana deti hain
aap ki nazron mein sahab ye kamal achchha hai
aap ko dekh ke bimar shifa paega
aap aa jaen to bimar ka haal achchha hai
meri qismat ki lakiron ko badal kar mujh se
wo abhi kah ke gae hain ki ye sal achchha hai
ishq ki rah ye mana ki hai dushwar 'nasim'
is haqiqat ko samajh is ka maal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.